muqabil ek zamana aur saf-arai meri
zamane se bhi kab ho kar rahi paspai meri
qadam hairat-sarae ke jahan tasKHir karte
Thahar jati kisi manzar pe jab binai meri
kisi sazish mein lana muddaa tha doston ka
so pahle ki gai thi hausla-afzai meri
tamasha-gah se behtar kahin KHalwat-nashini
sahar-asar hai mere liye tanhai meri
bahut chaha bahut roka pe sare band TuTe
ki aankh us ko achanak dekh kar bhar aai meri
muqayyad ho ke kab tak kaun rahta hai ki 'mehdi'
gali-kuchon tak aaKHir aa gai ruswai meri
Ghazal
Muqabil ek zamana aur saf-arai meri
Shaukat Mehdi