muntazir rahna bhi kya chahat ka KHamyaza nahin
kan dastak par lage hain ghar ka darwaza nahin
hath par tu ne muqaddar ki lakiren khinch din
kya tujhe bhi mere mustaqbil ka andaza nahin
dekhna chahun to KHushbu, chhuna chahun to hawa
mere daman tak jo aae tu wo shiraaza nahin
dafan hun ehsas ki sadiyon purani qabr mein
zindagi ek zaKHm hai aur zaKHm bhi taza nahin
tum hi ai KHamoshiyo patthar uTha lo hath mein
koi naghma koi nala koi aawaza nahin
husn pahchanegi mera dekhne wali nazar
KHun to hai aankhon mein chehre par agar ghaza nahin
mangte hain kyun 'muzaffar' log barish ki dua
tishnagi-e-ruh ka jismon ko andaza nahin

Ghazal
Muntazir rahna bhi kya chahat ka KHamyaza nahin
Muzaffar Warsi