muntazir dasht-e-dil-o-jaan hai ki aahu aae
sare manzar hi badal jaen agar tu aae
nind aae to achanak teri aahaT sun lun
jag uTThun to badan se teri KHushbu aae
be-hunar hath chamakne laga suraj ki tarah
aaj hum kis se mile aaj kise chhu aae
saut hi saut hai taswir hi taswir hai tu
yaad teri kai baaten kai pahlu aae
hum tujhe dekhte hi naqsh-ba-diwar hue
ab wahi tujh se milega jise jadu aae
apne hi aks ko pani mein kahan tak dekhun
hijr ki sham hai koi to lab-e-ju aae
kisi jaanib nazar aata nahin baadal koi
aur jab sail-e-bala aae to har-su aae
chahta hun ki ho parwaz sitaron se buland
aur mere hisse mein TuTe hue bazu aae
dard mein Dubi hui rakh mein nahlai hui
raat yun aai hai jaise koi sadhu aae
rasta rok saki hain na fasilen na hisar
phul jangal mein khile shahr mein KHushbu aae
aasmanon pe na tare hain na baadal hai na chand
ab to mumkin hai kahin se koi jugnu aae
waqt-e-ruKHsat mere hamrah koi kab aaya
aur agar lauT ke aae bhi to aansu aae
rog bhi tu ne lagaya hai anokha 'shahzad'
ab kahan se tere is dard ka daru aae
Ghazal
Muntazir dasht-e-dil-o-jaan hai ki aahu aae
Shahzad Ahmad