muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua
mujh ko ek sada waraq ke dukh ka andaza hua
yun to ek chubhta hua ehsas thi us ki nazar
choT hi ubhri na koi zaKHm hi taza hua
moDna chaha tha main ne sar-phire lamhon ka ruKH
der mein ujDi hui shaKHon ko andaza hua
apni palkon par liye phirta raha nindon ka bojh
chand KHwabon ka ada mujh se na KHamyaza hua
nichi diwaron ke sae bhi baDe hote nahin
aaj apne doston se mil ke andaza hua
KHud se sharminda nazar aaenge sare aaine
phir kabhi yakja agar chehron ka shiraaza hua
jab hawaen di gai 'alam' mere iKHlas ko
ek chehra tha jo apne aap be-ghaza hua

Ghazal
Muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua
Seen Sheen Alam