اردو हिंदी
Muntashir ho kar rahe ye aisa shiraaza na tha | Shaahi Shayari
muntashir ho kar rahe ye aisa shiraaza na tha

Ghazal

Muntashir ho kar rahe ye aisa shiraaza na tha

Gulzar Vafa Chaudari

;

muntashir ho kar rahe ye aisa shiraaza na tha
KHak ho jaana mere hone ka KHamyaza na tha

main butun-e-zat mein aur tu KHala mein gum raha
KHak ke jauhar ka hum donon ko andaza na tha

aab-pashi se rahe ghafil shajar-kari ke baad
ab jo dekha ek pauda bhi tar-o-taza na tha

hum mein jo aazad tha aazad-tar ho kar raha
ab wahi be-ghar hai jis ke ghar ka darwaza na tha

jabr ke ehsas ki aawaz to pahle bhi thi
inqalab-e-qismat-e-adam ka aawaza na tha