munkir-e-but hai ye jahil to nahin
ghar se waiz kahin fazil to nahin
tum na aasan ko aasan samho
warna mushkil meri mushkil to nahin
kya sambhaale mere dil ka langar
zulf hai kuchh wo salasil to nahin
aaj main dil ko juda karta hun
dekhiye aap ke qabil to nahin
zalzale mein jo zamin aati hai
ye bhi us shoKH pe bismil to nahin
dard ko gurda taDapne ko jigar
hijr mein sab hain magar dil to nahin
haDDiyan khane ko khata hai huma
sag-e-jaanan ke muqabil to nahin
bola wo gul jo suni aah 'saKHi'
aisi aawaz-e-anadil to nahin
Ghazal
Munkir-e-but hai ye jahil to nahin
Sakhi Lakhnvi