munjamid aaKHir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja
chaar jaanib ai mere KHun ke samundar phail ja
meri aawara-mizaji ka rakha tu ne bharam
ai ghubar-e-dasht aa sine ke andar phail ja
aa tujhe apni nazar se bhi rakhun mahfuz main
shauq se mujh mein sama andar hi andar phail ja
tazkaron ka oDh jama ai meri zinda-dili
har nae qasbe mein ja basti mein ghar ghar phail ja
aah-o-zari chhoD apni zat se bahar nikal
qahqahe ki gunj ban kar aasman par phail ja
Ghazal
Munjamid aaKHir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja
Rashid Anwar Rashid