munhadim hoti hui aabaadiyon mein fursat-e-yak-KHwab hote
hum bhi apne KHisht-zaron ke liye aasudgi ka bab hote
shahr-e-azurda-faza mein aabginon ko ba-ru-e-kar late
sham ki in KHanuman viraniyon mein sohbat-e-ahbab hote
taza o ghamnak rakhte aas aur ummid ki sab konpalon ko
aur phir hamrahi-e-baad-e-shabana ke liye mahtab hote
KHud-kalami ke bhanwar mein Dubti parchhain ban kar rah gae hain
is andheri raat mein ghar se nikalte to sitara-yab hote
KHak-aluda zamanon par barasti jhumti kali ghaTaen
mausamon ki aab-o-KHak-araiyon se aaine sairab hote

Ghazal
Munhadim hoti hui aabaadiyon mein fursat-e-yak-KHwab hote
Sarvat Husain