اردو हिंदी
Munh-zor hain maghrur hain pur-kar nahin hain | Shaahi Shayari
munh-zor hain maghrur hain pur-kar nahin hain

Ghazal

Munh-zor hain maghrur hain pur-kar nahin hain

Hans Raj Sachdev u0027hazii.nu0027

;

munh-zor hain maghrur hain pur-kar nahin hain
hum log abhi sahab-e-kirdar nahin hain

jab aap hi ulfat mein wafadar nahin hain
phir hum se gila kyun ki talabgar nahin hain

hum saqi-e-mah-wash hain gunahgar-e-aqidat
hum pine-pilane ke gunahgar nahin hain

be-mahri-o-be-gangi-o-jor-o-taghaful
hum aisi mohabbat ke parastar nahin hain

kya ahl-e-chaman-zar ke ajsam mein hai jaan
kya ahl-e-chaman jaan se bezar nahin hain

muKHtar bhi malik bhi hain ghairon ke liye aap
apnon ke liye malik-o-muKHtar nahin hain

mat puchhiye maiKHane ka dastur 'hazin' se
zi-hosh hi maiKHane mein hoshiyar nahin hain