munh-zor aarzuon ki be-mehriyan na puchh
begana ho rahi hain ye la kar kahan na puchh
fehrist muhsinon ki nihayat tawil hai
mujh se meri tabahiyon ki dastan na puchh
mujh ko panah di na tere gham ne bhi kabhi
main de raha hun kitne ghamon ko aman na puchh
har zaKHm chand zaKHmon ki karta hai parwarish
kaise sada-bahaar hai ye gulsitan na puchh
dasht-e-wafa ki wusaton ko pa saka hai kaun
gum kis qadar hue hain yahan karwan na puchh
wabasta moD moD se hain kitne hadsat
ye qatl-gah hai ki dayar-e-butan na puchh
Ghazal
Munh-zor aarzuon ki be-mehriyan na puchh
Roohi Kanjahi

