munh zer-e-tak khola waiz bahut hi chuka
belon ne daDhi pakDi KHoshon ne munh mein thuka
kahta hai kyun anal-haq jo qatra hai lahu ka
munh khul gaya hai shayad meri rag-e-gulu ka
shoKHi jo barq ki hai garmi sharar ki hai
kuchh kah raha hai musa andaz-e-guftugu ka
dhona hai waqt-e-aKHir munh ki mujhe siyahi
ai ashk-e-sharm ab bhi mauqa hai shust-o-shu ka
kyun tifl-e-ashk lipTe ai dil na aastin se
parwarda hai ye mere daman-e-arzu ka
saqi bahaar dar-kaf phul aae mai-kade se
tufan uTh raha hai gulshan mein rang-o-bu ka
waiz tujhe KHabar hai mai-KHana kis ka ghar hai
KHum us ki pusht par hai khulwa na munh subu ka
mere badan ke roen aawaz denge hu ki
sahra mein ghar hai mera ghar hai maqam hu ka
yaksan hai KHun-chakani' yaksan hai KHun-fishani
hain ek dida-o-dil ye josh hai lahu ka
samjhe hain KHizr jis ko sahra-naward-e-ulfat
naqsh-e-fana wo ek hai wo pa-e-justuju ka
gardun habab is mein gharq aaftab is mein
dil ki bisat kya hai ek qatra hai lahu ka
kyun itne unche jaen kyun ulTi munh ki khaen
aata hai apne munh par jab aasman ka thuka
donon bahut hain nazuk un naznin buton se
allah hai nigahban iman-o-abru ka
angur hi mein utra qismat ka aab-o-dana
main tha isi ka pyasa main tha isi ka bhuka
main ai 'riyaz' KHush hun ek boriya hi main hun
pahle jo zarf-e-mai tha ab zarf hai wuzu ka
Ghazal
Munh zer-e-tak khola waiz bahut hi chuka
Riyaz Khairabadi