munh-zabani quran paDhte the
pahle bachche bhi kitne buDhe the
ek parinda suna raha tha ghazal
chaar chhe peD mil ke sunte the
jin ko socha tha aur dekha bhi
aise do-chaar hi to chehre the
ab to chup-chap sham aati hai
pahle chiDiyon ke shor hote the
raat utra tha shaKH par ek gul
chaar-su KHushbuon ke pahre the
aaj ki subh kitni halki hai
yaad paDta hai raat roe the
ye kahan doston mein aa baiThe
hum to marne ko ghar se nikle the
ye bhi din hain ki aag girti hai
wo bhi din the ki phul barse the
ab wo laDki nazar nahin aati
hum jise roz dekh lete the
aankhen kholin to kuchh na tha 'alwi'
band aankhon mein lakhon jalwe the
Ghazal
Munh-zabani quran paDhte the
Mohammad Alvi