اردو हिंदी
Munh tera kyun aaj zor-e-na-tawani phir gaya | Shaahi Shayari
munh tera kyun aaj zor-e-na-tawani phir gaya

Ghazal

Munh tera kyun aaj zor-e-na-tawani phir gaya

Murli Dhar Shad

;

munh tera kyun aaj zor-e-na-tawani phir gaya
us ke aate hi mere chehre pe pani phir gaya

bhul kar aashiq tumhaara ja raha tha tur par
dur se sun kar sada-e-lan-tarani phir gaya

zillat-o-ruswai ki had bhi hai koi Dub mar
ai dil-e-nakaam ab to sar pe pani phir gaya

us ke aage tu ne phailaya agar dast-e-sawal
yaad rakh ai dil suluk-e-mehrbani phir gaya

dil miTaya teri KHatir jaan ki parwa na ki
kis liye tu hum se ai ahd-e-jawani phir gaya

be-sutun ko kaT kar laya tha zalim ju-e-shir
kohkan ki hasraton par phir bhi pani phir gaya

pattiyan pazhmurda phulon ki chaman mein dekh kar
samne aankhon ke daur-e-aish-e-fani phir gaya

kal khili thi jo kali hai aaj murjhai hui
meri nazron mein maal-e-zindagani phir gaya

bul-hawas ka munh ho kala kan mein kya kah diya
aap ke chehre pe rang-e-arghawani phir gaya

barq ban kar aaj wo mahfil mein aae is tarah
meri aankhon mein mera ahd-e-jawani phir gaya

bhar ke saqi ne diya jam-e-sharab-e-arghawan
'shad' ke chehre pe rang-e-shadmani phir gaya