munh pherta nahin hai kisi kaam se badan
bikhra paDa hai aaj magar sham se badan
bhula nahin hai ab bhi tera lams-e-aKHiri
lo phir sihar uTha hai tere nam se badan
muddat mein jis tarah koi bichhDa hua mile
aise lipaT gaya hai dar-o-baam se badan
chhilke to bund bund mere jism par gire
chipka liya hai main ne tere jam se badan
thoDa to chalne phirne de mujh ko mere hakim
thak sa gaya hai rose ke aaram se badan
Ghazal
Munh pherta nahin hai kisi kaam se badan
Kuldeep Kumar