munh na Dhanko ab to surat dekh li
dekh li ai hur-e-talat dekh li
shakl badli aur surat ho gai
ek nazar jis ne wo surat dekh li
ek but sajda nahin karta tujhe
bas KHudaya teri qudrat dekh li
hai ayan haal-e-sag-e-ashab-e-kahf
jaanwar ki aadamiyyat dekh li
chaar din bhi to na tum se nibh saki
aap ki sahab-salamat dekh li
jaante the hum na iza hijr ki
wo bhi sahib ki badaulat dekh li
ghurte hain ab nigah-e-qahr se
chaar din chashm-e-inayat dekh li
kyun ajal ab zahr piswata hun main
rah teri ek muddat dekh li
khul gai bande pe qadr-o-manzilat
thi jo sahib ki haqiqat dekh li
ja ke ghar jhuTon na puchhi baat tak
bas teri jhuTi mohabbat dekh li
us se kah aadat se jo waqif na ho
dekh li KHu teri KHaslat dekh li
bahr-e-hasti mein faqat misl-e-habab
hai mujhe ek dam ki mohlat dekh li
aap hairan hoga apne husn ka
aaine mein gar wo surat dekh li
chandni raaton mein chillata phira
chand si jis ne wo surat dekh li
phir wahi hai boriya aur apna faqr
chaar din ki jah-o-hashmat dekh li
kyun churaata hai wo kafir mujh se aankh
kya nigah-e-chashm-e-hasrat dekh li
yaad aaya 'rind' wo paiman-shikan
gar kahin baham mohabbat dekh li
Ghazal
Munh na Dhanko ab to surat dekh li
Rind Lakhnavi