اردو हिंदी
Munh mein jis ke tu shab-e-wasl zaban deta hai | Shaahi Shayari
munh mein jis ke tu shab-e-wasl zaban deta hai

Ghazal

Munh mein jis ke tu shab-e-wasl zaban deta hai

Mushafi Ghulam Hamdani

;

munh mein jis ke tu shab-e-wasl zaban deta hai
subh tak mare maze hi ke wo jaan deta hai

bosa dene ko to kahta hai wo mujh se lekin
main jo chahun ki abhi de so kahan deta hai

naqa-gar gum na kare rah to KHud reg-e-rawan
ustuKHwan reza-e-majnun ka nishan deta hai

subh-KHezon ko bhi maut aa gai kya hijr ki shab
murgh bole hai na mulla hi azan deta hai

kuchh to jagah hai meri dil mein bhi us ke warna
ghairon ko yun koi pahlu mein makan deta hai

dil o jaan mujh se wo mange hai baha-e-bosa
hai to sauda bahut achchha pe giran deta hai

ye dam-e-sard hai kis ka ki har ek naKHl-ba-bagh
yaad-e-be-bargi-e-ayyam-e-KHizan deta hai

phul jhaDte hain munh us ke se hazaron mujh ko
galiyan gar kabhi wo ghuncha-dahan deta hai

jaan darwaze par us ke hi main ja kar dunga
iztirab-e-dil agar mujh ko aman deta hai

'mushafi' main hadaf-e-naz hun aur wan ghamza
dam-ba-dam dast-e-taghaful mein kaman deta hai