munh jo furqat mein zard rahta hai
kuchh kaleje mein dard rahta hai
thi kabhi rashk-e-mahr ke aashiq
dhup ka rang zard rahta hai
kis ke sunte ho raat ko nale
kahte ho sar mein dard rahta hai
kabhi puchha na mere kuche mein
kaun sahra-naward rahta hai
shor hai zard aai hai aandhi
kya mera rang zard rahta hai
yaad aati hain garmiyan teri
dil hamara bhi sard rahta hai
kahte ho tujh ko dekhte hain hum
banda sahra-naward rahta hai
jis taraf baiThte the wasl mein aap
usi pahlu mein dard rahta hai
kahte hain dil ki choT ka hai fasad
munh 'tashshuq' jo zard rahta hai
Ghazal
Munh jo furqat mein zard rahta hai
Taashshuq Lakhnavi