munh dikha kar munh chhupana kuchh nahin
kuchh nahin ye munh dikhana kuchh nahin
tha jo kya kuchh baat kahte kuchh na tha
aadmi ka bhi Thikana kuchh nahin
gul hain mashuqon ke daman ke liye
qabr-e-ashiq par chaDhana kuchh nahin
hai satane ka bhi lutf ek waqt par
har ghaDi un ko satana kuchh nahin
be-manae man gae hum aap se
aise ruThe ko manana kuchh nahin
hath se gulchin ke jhaTke kaun khae
shaKH-e-gul par aashiyana kuchh nahin
ye hasin hain pyar kar lene ki chiz
in hasinon ko satana kuchh nahin
ai habab apni zara hasti to dekh
is par itna sar uThana kuchh nahin
tu ne tauba ki to hai lekin 'riyaz'
baat ka teri Thikana kuchh nahin

Ghazal
Munh dikha kar munh chhupana kuchh nahin
Riyaz Khairabadi