munh chhupao na tum naqab mein jaan
yunhi aashiq ki hai azab mein jaan
jun si chuTki mein le ke mal Dali
hum se aashiq ki hai azab mein jaan
KHubi-e-husn ne teri na rakhi
baqi ek zarra shaiKH o shab mein jaan
kis ki zulfon ke pech-o-tab se hai
raat din meri pech-o-tab mein jaan
saKHt mushtaq hai tumhaara dil
munh dikhao kabhi to KHwab mein jaan
ek din tum ne ki na baat kabhu
mar gae hum to is hijab mein jaan
nit tere intizar-e-ghusl se hai
bahr ke dida-e-hubab mein jaan
mah ne ai shahsawar-e-arsa-e-husn
aaqibat di teri rikab mein jaan
us ne bhar kar nigah dekha tha
nahin us din se aaftab mein jaan
sar-e-atish jo ashk-e-rezan tha
kisi aashiq ki thi kabab mein jaan
'mushafi' tha zi-bas-ki aashiq-e-sher
marte marte rahi kitab mein jaan
Ghazal
Munh chhupao na tum naqab mein jaan
Mushafi Ghulam Hamdani