munh andhere teri yaadon se nikalna hai mujhe
aur phir mazi ka pairahan badalna hai mujhe
parbaton par subh ki si dhup hun main in dinon
jaanta hun ab Dhalanon par phisalna hai mujhe
war se bachna to hai hi war ek karna bhi hai
aur in ke bich hi ruk kar sambhalna hai mujhe
mujh pe hi aa kar Tikin bedar aanhken is liye
ban ke jugnu aas ka har raat jalna hai mujhe
ai meri masrufiyat mujh ko zarurat hai teri
ek purane gham ka sar phir se kuchalna hai mujhe
ek udasi ka samundar hai mere andar kahin
han usi mein sham ke suraj sa Dhalna hai mujhe
main kisi muflis ka ji hun yun nahin to yun sahi
bas zara si baat se hi to bahalna hai mujhe
main koi but to nahin 'atish' mulaem barf ka
aanch se ek din magar apni pighalna hai mujhe
Ghazal
Munh andhere teri yaadon se nikalna hai mujhe
Swapnil Tiwari

