munh-andhere hi koi ghar se nikalta hua tha
ek manzar tha ki manzar se nikalta hua tha
ek KHilqat ki na hone mein phansi jati thi
aur main hone ke chakkar se nikalta hua tha
kuchh to wo KHud hi chala aaya tha bahar bahar
aur kuchh main bhi ab andar se nikalta hua tha
KHub raushan si koi chiz mere samne thi
aur dhuan tha ki mere sar se nikalta hua tha
muddaton yun hi tah-e-baal chale aate the
aasman tha ki mere par se nikalta hua tha

Ghazal
Munh-andhere hi koi ghar se nikalta hua tha
Nadeem ahmad