اردو हिंदी
Munh andhere ghar se nikle phir the hangame bahut | Shaahi Shayari
munh andhere ghar se nikle phir the hangame bahut

Ghazal

Munh andhere ghar se nikle phir the hangame bahut

Ahmad Hamdani

;

munh andhere ghar se nikle phir the hangame bahut
din Dhala tanha hue aur raat bhar pighle bahut

ranj ke andhe kuen mein raat ab kaise kaTe
dekhne ko din mein dekhe chand se chehre bahut

phir bhi hum ek dusre se bad-guman kya kya rahe
jhuT hum ne bhi na bola tum bhi the sachche bahut

tha irada un ke ghar se bach ke hum niklen magar
har qadam par un ke ghar ke raste aae bahut

in dinon rahte hain logon se hamein kya kya gile
aur lagte bhi hain hum ko log sab achchhe bahut

peD apne dasht mein ab hum laga kar kya karen
dhup ne phaila diye hain dur tak sae bahut