اردو हिंदी
Munh aansuon se apna abas dho rahe ho kyun | Shaahi Shayari
munh aansuon se apna abas dho rahe ho kyun

Ghazal

Munh aansuon se apna abas dho rahe ho kyun

Sadiq

;

munh aansuon se apna abas dho rahe ho kyun
hanste jahan bich khaDe ro rahe ho kyun

aa jao apne mukh se mukhauTa utar kar!
bahrupiyon ke sath samay kho rahe ho kyun

kya is se hoga ruh ke zaKHmon ko faeda
TuTe dilon ki sun ke sada ro rahe ho kyun

is ghumti zamin ka mehwar hi toD do
be-kar gardishon pe KHafa ho rahe ho kyun

ye buDhi nasl jab ki tumhein manti nahin
apne badan mein is ka lahu Dho rahe ho kyun