munawwar aur mubham istiare dekh leta hun
main sote jagte dilkash nazare dekh leta hun
main chashm-e-narasa se khinchta rahta hun taswiren
koi saat ho suraj chand tare dekh leta hun
main bachchon ki nazar se dekhta hun chand mein thaali
magar chashm-e-hunar se mah-pare dekh leta hun
akela DhunDta phirta hun ranj-e-na-shanasai
ki jine ke liye mumkin sahaare dekh leta hun
saham kar baiTh jata hun gali mein shor-e-girya se
nikalna hai to phir imkan sare dekh leta hun
saDak ki jagmagati raushni mein KHauf lagta hai
guzarta hun to mausam ke ishaare dekh leta hun
mohabbat bhi zarurat pesh-bini bhi zarurat hai
main kar-e-dosti mein sab KHasare dekh leta hun
Ghazal
Munawwar aur mubham istiare dekh leta hun
Syed Amin Ashraf

