mumkin nahin ki bazm-e-tarab phir saja sakun
ab ye bhi hai bahut ki tumhein yaad aa sakun
ye kya tilism hai ki teri jalwa-gah se
nazdik aa sakun na kahin dur ja sakun
zauq-e-nigah aur bahaaron ke darmiyan
parde gire hain wo ki na jin ko uTha sakun
kis tarah kar sakoge bahaaron ko mutmain
ahl-e-chaman jo main bhi chaman mein na aa sakun
teri hasin faza mein mere ai nae watan
aisa bhi hai koi jise apna bana sakun
'azad' saz-e-dil pe hain raqsan wo zamzame
KHud sun sakun magar na kisi ko suna sakun
Ghazal
Mumkin nahin ki bazm-e-tarab phir saja sakun
Jagan Nath Azad