mumkin nahin hai apne ko ruswa wafa kare
duniya-e-be-sabaat ki KHatir dua kare
nur-e-wajud aur agar hausla kare
sham-e-hayat jal ke bhi kuchh lau diya kare
mar mar ke koi kab talak aaKHir jiya kare
kyun har nafas se zist ke tane suna kare
jab koshish-e-tamam bhi rah jae na-tamam
ai hasil-e-hayat bata koi kya kare
jo gham nasib-e-yar ho KHud apni zist par
kab tak nigah-e-naz ka wo aasra kare
hai aalam-e-wajud pe chhaya hua jumud
ai kash inqalab koi faisla kare
ab aarzu yahi hai dam-e-naza ai 'wafa'
ghair-az-KHuda na yaad rahe kuchh KHuda kare
Ghazal
Mumkin nahin hai apne ko ruswa wafa kare
Vafa Barahi