mumkin hi na thi KHud se shanasai yahan tak
le aaya mujhe mera tamashai yahan tak
rasta ho agar yaad to ghar lauT bhi jaun
lai thi kisi aur ki binai yahan tak
shayad tah-e-dariya mein chhupa tha kahin sahra
meri hi nazar dekh nahin pai yahan tak
mahfil mein bhi tanhai ne pichha nahin chhoDa
ghar mein na mila main to chali aai yahan tak
sahra hai to sahra ki tarah pesh bhi aae
aaya hai isi shauq mein saudai yahan tak
ek khel tha aur khel mein socha bhi nahin tha
juD jaega mujh se wo tamashai yahan tak
ye umr hai jo us ki KHata-war hai 'shaariq'
rahti hi nahin baaton mein sachchai yahan tak

Ghazal
Mumkin hi na thi KHud se shanasai yahan tak
Shariq Kaifi