mumkin hai shai wahi ho magar hu-ba-hu na ho
reg-e-rawan bhi dekh kahin aabju na ho
qaem isi tazad ke dam se hai kaenat
main aarzu hun jis ki meri aarzu na ho
manzar badal badal ke bhi dekha hai barha
jo zaKHm ab hai aankh pe shayad rafu na ho
sahta raha hun ek tasalsul se is liye
ye TuT-phuT hi meri wajh-e-numu na ho
main KHud hi bujhne lagta hun jalte hue charagh
jis rose teri lau se meri guftugu na ho
dekho badal ke zawiya apni nigah ka
jo ru-ba-ru nahin hai wahi ru-ba-ru na ho
mere wajud se hai ye duniya-e-rang-o-bu
lekin mera jahan faqat rang-o-bu na ho
mushkil meri hadon ka tayyun hai 'aftab'
wo raushni bhi kya hai ki jo chaar su na ho
Ghazal
Mumkin hai shai wahi ho magar hu-ba-hu na ho
Aftab Ahmad