mulzim Thahri main apni sachchai se
jhuT ne bazi mar li pai pai se
haq-talfi bhi KHamoshi se sah jaen
faisla karna mushkil hai danai se
us ko sochte rahna achchha lagta hai
kaisa nata juD gaya us harjai se
badle mein wo sansen girwi rakh lega
bach ke rahna aaj ke hatim-tai se
koi mujh mein rahta hai mujh se chhup kar
Dar nahin lagta ab apni tanhai se
bhule se aa jae wo chhat par ek din
chand ko dekhun main apni angnai se
taza-dam rakhti hai teri KHushbu hi
mujh ko nisbat kya gulshan-arai se
phul se lahje zaKHm jahan dete hain ghazal
Darti hun aisi izzat-afzai se
Ghazal
Mulzim Thahri main apni sachchai se
Shagufta Yasmeen