muKHtasar waqt hai par baaten kar
zindagi beach safar baaten kar
aa kabhi hujra-e-dil mein mere
raat ke pichhle pahar baaten kar
chal chala jaun tujhe le kar main
phir kisi KHwab-nagar baaten kar
chhoD kar duniya-o-din ki baaten
hai to dushwar magar baaten kar
lam-yazal sher ki surat tu bhi
masnad-e-dil pe utar baaten kar
zindagi raqs mein hai meri jaan
baiTh ja shor na kar baaten kar
tere ehsas ko taswir karun
ab to kaghaz pe ubhar baaten kar
guftugu tujh se karun aise mein
khulne lagta hai hunar baaten kar
baat ka izn diya jab us ne
phir tujhe kis ka hai Dar baaten kar
teri takmil hua chahti hai
chaak se ab tu utar baaten kar

Ghazal
MuKHtasar waqt hai par baaten kar
Saim Ji