اردو हिंदी
MuKHtasar hi sahi mayassar hai | Shaahi Shayari
muKHtasar hi sahi mayassar hai

Ghazal

MuKHtasar hi sahi mayassar hai

Sabir

;

muKHtasar hi sahi mayassar hai
jo bhi kuchh hai nahin se behtar hai

din-dahaDe gunah karta hun
mo'tabar ho na jaun ye Dar hai

manch par kaamyab ho ki na ho
mujh ko kirdar apna azbar hai

sab ko pathra diya palak jhapke
hum na kahte the shobada-gar hai

ain mumkin hai wo palaT aae
mera iman mojazon par hai

pahle mausam pe tabsira karna
phir wo kahna jo dil ke andar hai

sare manzar hasin lagte hain
duriyan kam na hon to behtar hai

raste bain kar rahe hain kyun
kya masafat ye intiha par hai

fasl boi bhi hum ne kaTi bhi
ab na kahna zamin banjar hai