muKHalifon ke jilau mein wo aaj shamil tha
wafa-parast ruton ka jo shaKHs hasil tha
wo meri zat ki pahchan bhi taaruf bhi
mere lahu mein ba-rang-e-hayat shamil tha
hasin raat thi hathon mein hath the hum the
kanar-e-ab KHamoshi thi mah-e-kaamil tha
taghayyuraat-e-zamana bhi kya ajab shai hain
jo jaan-nisar tha pahle wo aaj qatil tha
mujhe bhi faqr ki daulat pe faKHr tha yaro
use bhi lal-o-guhar ka ghurur hasil tha
bahut hi sada tabiat tha un dinon 'arshad'
ki jab wo mehr-o-KHulus-o-wafa ka qail tha
Ghazal
MuKhaalifon ke jilau mein wo aaj shamil tha
Arshadul Qadri