اردو हिंदी
MuKhaalifin ko hairan karne wala hun | Shaahi Shayari
muKhaalifin ko hairan karne wala hun

Ghazal

MuKhaalifin ko hairan karne wala hun

Manish Shukla

;

muKHalifin ko hairan karne wala hun
main apni haar ka elan karne wala hun

suna he dasht mein wahshat sukun pati hai
so apne aap ko viran karne wala hun

faza mein chhoD raha hun KHayal ka tair
sukut-e-arsh ko gunjaan karne wala hun

miTa raha hun KHirad ki tamam tashbihen
junun ka rasta aasan karne wala hun

haqiqaton se kaho hoshiyar ho jaen
main apne KHwab ko mizan karne wala hun

koi KHuda-e-mohabbat ko ba-KHabar kar de
main KHud ko ishq mein qurban karne wala hun

saja raha hun tabassum ka ek naya lashkar
hujum-e-yas ka nuqsan karne wala hun