اردو हिंदी
MuKhaalif hai saba-e-nama-bar kuchh aur kahti hai | Shaahi Shayari
muKhaalif hai saba-e-nama-bar kuchh aur kahti hai

Ghazal

MuKhaalif hai saba-e-nama-bar kuchh aur kahti hai

Muztar Khairabadi

;

muKHalif hai saba-e-nama-bar kuchh aur kahti hai
udhar kuchh aur kahti hai idhar kuchh aur kahti hai

na tu dushman ke ghar soya na tu dushman ke ghar jaga
ye sab sach hai teri surat magar kuchh aur kahti hai

udhar madd-e-nazar un ko chhupana raaz ulfat ka
idhar kambaKHt meri chashm-e-tar kuchh aur kahti hai

tasawwur dil mein shayad aa gaya hai ghar ke jaane ka
ye angDai teri waqt-e-sahar kuchh aur kahti hai

nahin malum 'muztar' mar gaya ya sans baqi hai
ilahi KHair shakl-e-chaaragar kuchh aur kahti hai