mujrim-e-ishq talabgar-e-muafi to nahin
sirf gham chahta hai gham ki talafi to nahin
soch le ye bhi har ummid se pahle ai dil
ye sahaara teri ghairat ke munafi to nahin
rone wale ye nadamat bhi ghanimat hai magar
sirf do ashk gunahon ki talafi to nahin
zarf-e-mai-kash pe nazar chahiye saqi tujh ko
ek do jam ghanimat sahi kafi to nahin
abhi ilzam-e-taghaful na de un ko ai dil
sham-e-wada sahar-e-wada-KHilafi to nahin
Ghazal
Mujrim-e-ishq talabgar-e-muafi to nahin
Mukhtar Hashmi