اردو हिंदी
Mujhi se puchh raha tha mera pata koi | Shaahi Shayari
mujhi se puchh raha tha mera pata koi

Ghazal

Mujhi se puchh raha tha mera pata koi

Majid-ul-Baqri

;

mujhi se puchh raha tha mera pata koi
buton ke shahr mein maujud tha KHuda koi

KHamoshiyon ki chaTanon ko toDne ke liye
kisi ke pas nahin tisha-e-sada koi

daraKHt hath uTha kar salam karte the
mere junun ka mubarak tha marhala koi

samajh saka na magar koi pattharon ki zaban
har ek lamha laga bolta hua koi

ye band lab hain ki koi khuli hui si kitab
mere sawal pe is dam to bolta koi

waraq pe raat ke likkhi hai subh ki tahrir
ye ek waqt hai be-rang-o-nur sa koi

na harf harf hua aks-e-guftugu mera
samajhna chaho to le aao aaina koi

ek aansuon ka samundar tha jal-pari ka libas
mila to aaise mila paikar-e-wafa koi

har ek zehan mein apne hi band hai 'majid'
faza ke KHol se bahar hai rasta koi