mujhi mein Dub gaya dushmani nibhate hue
KHuda bhi haar gaya mujh ko aazmate hue
bhaTak na jae wo din-raat ke andhere mein
main bujh raha hun jise rasta dikhate hue
guzar rahe hain shikaston ke bhes mein hum bhi
nae safar ke liye manzilen banate hue
ulajh raha hai wo mujh se haqiqaton ki tarah
main jhuT bol raha hun use manate hue
ye raqs karti hui raushni ke sae hain
ki hath kanp rahe hain diya jalate hue
Ghazal
Mujhi mein Dub gaya dushmani nibhate hue
Muzaffar Mumtaz