اردو हिंदी
Mujhe to ye bhi fareb-e-hawas lagta hai | Shaahi Shayari
mujhe to ye bhi fareb-e-hawas lagta hai

Ghazal

Mujhe to ye bhi fareb-e-hawas lagta hai

Aslam Ansari

;

mujhe to ye bhi fareb-e-hawas lagta hai
wagarna kaun andheron mein sath chalta hai

bikhar chuki jaras-e-karwan-e-gul ki sada
ab us ke baad to wamandgi ka waqfa hai

jo dekhiye to sabhi karwan mein shamil hain
jo sochiye to safar mein har ek tanha hai

kise KHabar ki ye duri ka bhed kiya shai hai
qadam uThao to rasta bhi sath chalta hai

ubhar rahe hain jo manzar fareb-e-manzar hain
jo khul raha hai daricha to wahm apna hai

talab to kar kise malum kaamgar bhi ho
zamana aib-o-hunar ab kahan parakhta hai

teri sada hai ki zulmat mein raushni ki lakir
tera badan hai ki naghmon ka dil dhaDakta hai

udasiyon ko na chhune de phul sa paikar
abhi kuchh aur tujhe ahl-e-gham pe hansna hai

meri wafa pe bhi ai dost e'tibar na kar
mujhe bhi teri tarah sab se pyar karna hai

ye puchhna hai ki ghairon se kiya mila tujh ko
teri jafa ki shikayat to kaun karta hai

chaman chaman hai agar gul-fishan to kya kije
hamein to apne KHarabe ko hi palaTna hai

ye ek chap jo barson mein sun raha hun main
koi to hai jo yahan aa ke luT jata hai