اردو हिंदी
Mujhe to qatra hi hona bahut satata hai | Shaahi Shayari
mujhe to qatra hi hona bahut satata hai

Ghazal

Mujhe to qatra hi hona bahut satata hai

Waseem Barelvi

;

mujhe to qatra hi hona bahut satata hai
isi liye to samundar pe rahm aata hai

wo is tarah bhi meri ahmiyat ghaTata hai
ki mujh se milne mein sharten bahut lagata hai

bichhaDte waqt kisi aankh mein jo aata hai
tamam umr wo aansu bahut rulata hai

kahan pahunch gai duniya use pata hi nahin
jo ab bhi mazi ke qisse sunae jata hai

uThae jaen jahan hath aise jalse mein
wahi bura jo koi masala uThata hai

na koi ohda na degree na nam ki taKHti
main rah raha hun yahan mera ghar batata hai

samajh raha ho kahin KHud ko meri kamzori
to us se kah do mujhe bhulna bhi aata hai