اردو हिंदी
Mujhe shakl de ke tamam kar kaf-e-kuza-gar | Shaahi Shayari
mujhe shakl de ke tamam kar kaf-e-kuza-gar

Ghazal

Mujhe shakl de ke tamam kar kaf-e-kuza-gar

Mumtaz Athar

;

mujhe shakl de ke tamam kar kaf-e-kuza-gar
kabhi ku-ba-ku mujhe aam kar kaf-e-kuza-gar

kisi subh mujh ko wajud de mere ru-ba-ru
kisi sham mujh se kalam kar kaf-e-kuza-gar

mujhe aanch de kisi dopahar ke faragh mein
kisi raat mujh mein qayam kar kaf-e-kuza-gar

mujhe chhu ke lams-shanas kar kisi sah-pahar
meri ruh tak mein KHiram kar kaf-e-kuza-gar

kabhi pura din isi KHak par mere sath rah
isi kunj mein koi sham kar kaf-e-kuza-gar

kabhi shab Dhale koi shakl meri KHabar ko de
gham-e-be-jahat ko maqam kar kaf-e-kuza-gar

main jo ek zarra-e-reg hun tah-e-reg hun
kabhi mujh ko mahr-e-tamam kar kaf-e-kuza-gar

mujhe daeron ke hujum mein kahin bhej de
meri wusaton ko dawam kar kaf-e-kuza-gar

kabhi le ke aa meri KHak nil-o-furaat se
koi waqia mere nam kar kaf-e-kuza-gar