mujhe sambhaal mera hath tham kar le ja
thaka hua hun kai din ka mujh ko ghar le ja
giraft-e-gul se nikal kar bikharta jata hun
mujhe hawa ke paron mein sameT kar le ja
jahan se mang mere nam par hayat ki bhik
tu mera kasa-e-ehsas dar-ba-dar le ja
jahan-e-past ko phir dekhne ki KHwahish hai
shuur-e-gham mujhe gham ke pahaD par le ja
ab us se aage har ek moD par andhera hai
tu apne sath mere pyar ki sahar le ja
tu jis ki rah mein roya hai umr bhar 'nasik'
wo subh rakh hui apni jholi bhar le ja
Ghazal
Mujhe sambhaal mera hath tham kar le ja
Nisar Nasik