mujhe sahl ho gain manzilen wo hawa ke ruKH bhi badal gae
tera hath hath mein aa gaya ki charagh rah mein jal gae
wo lajae mere sawal par ki uTha sake na jhuka ke sar
uDi zulf chehre pe is tarah ki shabon ke raaz machal gae
wahi baat jo wo na kah sake mere sher-o-naghma mein aa gai
wahi lab na main jinhen chhu saka qadah-e-sharab mein Dhal gae
wahi aastan hai wahi jabin wahi ashk hai wahi aastin
dil-e-zar tu bhi badal kahin ki jahan ke taur badal gae
tujhe chashm-e-mast pata bhi hai ki shabab garmi-e-bazm hai
tujhe chashm-e-mast KHabar bhi hai ki sab aabgine pighal gae
mere kaam aa gain aaKHirash yahi kawishen yahi gardishen
baDhin is qadar meri manzilen ki qadam ke KHar nikal gae
Ghazal
Mujhe sahl ho gain manzilen wo hawa ke ruKH bhi badal gae
Majrooh Sultanpuri