mujhe saqi-e-chashm-e-yar ne ajab ek jam pila diya
ki nashe ne jis ke gham-e-jahan mere dil se saf bhula diya
karun kya bayan main wasf ab mai-e-nab-e-ishq ka dosto
ki KHudi ki qaid se yak-qalam ba-KHuda ki mujh ko chhuDa diya
asar us ki chashm-e-karam ka ab karun kis zaban se main bayan
ki ba-har makan-o-ba-har taraf mujhe haq ka jalwa dikha diya
kisi aarzu ki rahi nahin hai mere dil mein kuchh bhi samae ab
mujhe saqiya mai-e-lutf se tu ne kya hi KHub chakha diya
teri tegh ghamza-e-chashm ne jo hain qatl mujh ko kiya sanam
to wahin pe isa-e-naz ne mujhe ek dam mein jila diya
na faqat tumhaari nigah ne mere dil ko hath se le liya
ki tumhaari zulf-e-daraaz ne mujhe sau bala mein phansa diya
na thi chashm mujh ko ye ai sanam ki tumhaari chashm ne yak-qalam
mere raKHt-e-aql-o-shakeb ko barq-e-nigah se jala diya
mujhe tu ne apne jamal ke dikhla ke tarhen nau bano
kabhu misl-e-abr rula diya kabhu misl-e-barq hansa diya
main fida-e-KHadim-e-shah hun dil-o-jaan se 'asim' jis ne ab
jise bujhna hi muhaal tha use ek pal mein sujha diya
Ghazal
Mujhe saqi-e-chashm-e-yar ne ajab ek jam pila diya
Shah Aasim

