mujhe rifaton ka KHumar tha so nahin raha
tere doston mein shumar tha so nahin raha
jise ab samajhte ho bar dida-o-jaan pe
kabhi rah-e-manzil-e-yar tha so nahin raha
teri yaad bhi teri yaad thi so chali gai
tera gham hi mera qarar tha so nahin raha
rah-e-dosti ke musafiro zara dekh kar
isi rah ka main bhi sawar tha so nahin raha
wo jo puchhte hain 'naim' ka use kya hua
unhen kah do un pe nisar tha so nahin raha

Ghazal
Mujhe rifaton ka KHumar tha so nahin raha
Naeem Zarrar Ahmad