اردو हिंदी
Mujhe pyar se tera dekhna mujhe chhup chhupa ke wo dekhna | Shaahi Shayari
mujhe pyar se tera dekhna mujhe chhup chhupa ke wo dekhna

Ghazal

Mujhe pyar se tera dekhna mujhe chhup chhupa ke wo dekhna

Fana Nizami Kanpuri

;

mujhe pyar se tera dekhna mujhe chhup chhupa ke wo dekhna
mera soya jazba ubhaarna tumhein yaad ho ki na yaad ho

rah-o-rasm qalb o nigah ke wo tumhaare dawe nibah ke
wo hamara sheKHi baghaarna tumhein yaad ho ki na yaad ho

wo hamari chheD wo shoKHiyan wo hamara kaTna chuTkiyan
wo tumhaara kuhni ka marna tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi sard aahon ke silsile kabhi ThanDi sanson ke mashghale
wo hamari naqlen utarna tumhein yaad ho ki na yaad ho

wo tumhaara shaer-e-KHush-nawa jise log kahne lage 'fana'
wo 'nisar' kah ke pukarna tumhein yaad ho ki na yaad ho