mujhe puchha hai aa kar tum ne us aKHlaq-e-kaamil se
ki main sharminda ho kar rah gaya andaza-e-dil se
nazar ke ruKH ko ya to dil ki jaanib pher lene do
nahin to samne aa jao uTh kar parda-e-dil se
umiden uTh rahi hain saikDon ummidwaron ki
main tanha hun magar tanha nahin uTThunga mahfil se
amir-e-karwan jis raushni ke bal pe baDhta hai
nikalta hai wo tara subh hote KHak-e-manzil se
unhen duniya ab ashk-e-gham kahe ya KHun ki bunden
mohabbat ne charagh aankhon mein la kar rakh diye dil se
ab us nang-e-mohabbat se kinara bhi to mushkil hai
mujhe jis ki mohabbat ka yaqin aaya tha mushkil se
abhi to sham hai aaghaz hai parwana-sozi ka
koi is shama ko aagah kar do subh-e-mahfil se
abhi tahqiq behtar hai ki phir shikwa abas hoga
ki mir-e-karwan waqif nahin aadab-e-manzil se
miTane se kabhi naqsh-e-mohabbat miT nahin sakta
mera afsana niklega teri rudad-e-mahfil se
ghanimat hai nazar raushan hai dil ab tak dhaDakta hai
mohabbat mein to ye aasaniyan milti hain mushkil se
ufuq ke aaine mein ho na ho dhaare ke sae mein
nazar aati hain tufanon ki sarhad jaise sahil se
tera jalwa to kya tu KHud bhi tafrih-e-nazar hota
meri aankhon ne ab tak bhik mangi hi nahin dil se
sitam ki aaKHiri manzil pe izhaar-e-pashemani
nikal aate hain aansu yun to har dukhte hue dil se
main ek zarra hun lekin wusat-e-sahra se waqif hun
uTha sakta nahin KHud mir-e-mahfil mujh ko mahfil se
tahayya kar liya tang aa ke go tark-e-talluq ka
magar ab fikr hai ye KHat unhen likkhenge kis dil se
mujhe 'ehsan' mere qafile walon ne ab samjha
ki ye zarra sitara ban gaya taqdir-e-manzil se
Ghazal
Mujhe puchha hai aa kar tumne us aKHlaq-e-kaamil se
Ehsan Danish