mujhe mushkil mein yun andaza-e-mushkil nahin hota
kabhi main kasrat-e-afkar se bad-dil nahin hota
agar hona paDe mannat-kash-e-amwaj bhi mujh ko
tu phir meri KHudi ko kuchh gham-e-sahil nahin hota
nahin kuchh pas-e-ghairat jis ko us ka zikr hi kya hai
jo ghairat-mand hai wo dar-ba-dar sail nahin hota
jhuka karti hain wo shaKHen jo hoti hain samar-awar
wahi hota hai KHud-sar jo kisi qabil nahin hota
lahu ki tere har har bund fariyaadi hai go bismil
magar qatil ke munh par shikwa-e-qatil nahin hota
dil-e-nakaam phir le kaam zauq-e-sai-e-paiham se
kaf-e-afsos malne se to kuchh hasil nahin hota
yaqinan maqsad-e-taKHliq ko samjha hua hai wo
faraez se kabhi jo aadmi ghafil nahin hota
wo insan hai malak sajde guzaren jis ke daman par
wo zarra kya jo ham-dosh-e-mah-e-kaamil nahin hota
jo roe dekh kar har har qadam par panw ke chhaale
kabhi wo rah-rau aasuda-e-manzil nahin hota
mere soz-e-darun meri nawa ka faiz hai 'rizwi'
tera hona to wajh-e-garmi-e-mahfil nahin hota
Ghazal
Mujhe mushkil mein yun andaza-e-mushkil nahin hota
Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi