mujhe mila wo bahaaron ki sarKHushi ke sath
gul-o-saman se ziyaada shaguftagi ke sath
wo raat chashma-e-zulmat par guzari thi
wo jab tulua hua mujh pe raushni ke sath
agar shuur na ho to bahisht hai duniya
baDe azab mein guzri hai aagahi ke sath
ye ittifaq hain sab rah ki masafat ke
chale kisi ke liye ja mile kisi ke sath
bura nahin hai magar hasb-e-tishnagi bhi kahan
suluk-e-shahd-laban meri tishnagi ke sath
faza mein raqs hai 'sahba' hasin parindon ka
mujhe bhi hasrat-e-parwaz hai kisi ke sath

Ghazal
Mujhe mila wo bahaaron ki sarKHushi ke sath
Sahba Akhtar