mujhe mehman hi jaano raat bhar ka
diya hun doston mein rahguzar ka
sunaun kya ki tulani bahut hai
fasana meri umr-e-muKHtasar ka
chalen kah do hawaon se sambhal ke
bhara rakkha hai saghar chashm-e-tar ka
chale jo dhup mein manzil thi un ki
hamein to kha gaya saya shajar ka
haTae kuchh to patthar Thokaron ne
hua to saf kuchh rasta safar ka
jise duniya ne bas aansu hi jaana
farastada tha ek dil ke nagar ka
ghamon mein kis ko main hansna sikhaun
mile bhi qadr-dan koi hunar ka
yahan to fatah-e-alam wahi hai
badalna jis ko aa jae nazar ka
nifaq-e-bahami hai jo abhi tak
khaDa hai rasta roke 'umar' ka
Ghazal
Mujhe mehman hi jaano raat bhar ka
Umar Ansari