mujhe malum hai main aaj kya hun
KHuda hun par abhi soya hua hun
sar-e-mahfil main yun KHamosh rah kar
sabhi logon ke tewar dekhta hun
mera mazhab faqat insaniyat hai
jise har-haal mein main pujta hun
nahin us raste ka koi rahbar
ki jis raste pe ab main chal paDa hun
mujhe sab dekh kar hairan kyun hain
main qatil hun koi ya dewta hun
bura kahne se pahle soch lena
main jaisa bhi hun lekin aap ka hun
mujhe tum mere andar DhunDhte ho
par ek arse se main to lapata hun
Ghazal
Mujhe malum hai main aaj kya hun
Abhishek Kumar Amber